Sawal: Listing dekhna free hai? Jawab: Haan, listings aur details bilkul free hain.
Sawal: Search karne se property pakki ho jati hai? Jawab: Nahi. Search sirf ek requirement hai jo hamari team ko jati hai. Team match dhoondh kar khud rabta karti hai.
Sawal: Fees kaun si hain? Jawab: Sirf ek agreement fee hai, jo deal pakki hone par lagti hai. Is mein police verification aur verified badge shamil hai. Is ke ilawa koi fee nahi.
Sawal: Malik ka number kyun nahi dikhta? Jawab: Privacy. Number viewing book hone par team ke zariye milta hai, taake dono taraf spam na ho.